Saturday, March 24, 2012

Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega - Makhmoor Dehalvi


Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega ????
Humeen dekheinge, yah khwab-e-parishaan kaun dekhega ????


In aankhon se tajalli ko darakhshaan kaun dekhega ????
Utha bhi do naqaab-e-ru-e-tabaan kaun dekhega ????


Yahi ik raat hai bas kaaynaat-e-zindagi apni
Sahar hoti hui  aye shaam-e-hijraan kaun dekhega ????


Basaana hi badega ik na ik din khana-e-dil ko
Bane firte ho Yusuf, sham-e-zindaan kaun dekhega ????


Haqeeqat ka takaaza bhi yahi hai pardadaari ka
raho tum aankh mein ke pardon mein pinhaan, kaun dekhega ????


Kuchh aisa ho dam-e-aakhir na aaein ayaadat ko
Unhein apne kiye par yun pashemaan kaun dekhega ????


Mujh par aayega ilzaam meri paaymaali ka
Teri raftaar ko aye fitna samaan kaun dekhega ????


Yahi ab bhi sadaaein aati hain waadi-e-aiman se
Kahaan hain taalib-e-deedar-e-janaan, kaun dekhega ????


Azaab-e-hashr se tu kyun daraata hai mujhe waaiz
Tujhe maloom bhi hai, fard-e-isiyaan kaun dekhega ????


Chalo ‘makhmoor’ tanhaai mein shagl-e-maikashi hoga
Chhupa kar le chalo peene ka saaman kaun dekhega ????


~ Makhmoor Dehalvi





Saturday, March 17, 2012

Sazaa-e-husn-e-paraasti - Firaq Gorakhpuri



 Sazaa-e-husn-e-paraasti bajaa, bajaa bhi nahin
Ki jurm-e-ishq butaan hai buraa, buraa bhi nahin

Kisi ko kya na milaa zindagi mein waa-e-naseeb
Humaare haath bas ik dil rahaa, rahaa bhi nahin

Udhar qadam bhi uthaanye de bad-dimaagi-e-ishq
Hum aison par dar-e-Jannat khulaa, khulaa bhi nahin

Nazar farebi-e-tahreer le udi mujhko
Sirey se naama-e-jaanan padha, padha bhi nahin

Tamaam shokhi-e-raftaar teri raahguzar
Qadam ka naksh kuchh aisa utha, utha bhi nahin

Wo jaise hai hi nahin is adaa se saamne hai
Agar kahoon ki mujhse khafa, khafa bhi nahin
Hum usko dekh ke bhi aah kis tarah dekhein
Nazaara-e-rukh-e-jaanan hua, hua bhi nahin

Nigaah-e-naaz se sun ke dil udaas hua
Agar kahein ke kuchh usne kahaa, kahaa bhi nahin

Jamaan-maqaan ka ye parda hijaab-e-aqbar hai
Hazaar baar ye parda utha, utha bhi nahin

Bas ik nigaah ki parchhiyaan baqaa-o-fanaa
Baqaa, Baqaa bhi nahin hai, fanaa, fanaa bhi nahin

Jisye muaamla-e-husn-o-ishq kahte hain
Hazaar baar ye jhagda chukaa, chukaa bhi nahin

Wo aankh kahti hai aisye ka kya thikaana hai ???
‘Firaq’ aadmi to hai bhalaa, bhalaa bhi nahin

             ~ Raghupati Sahaay ‘Firaq’ Gorakhpuri